Tahir Ramzan | 10 years ago
Kia aap ko pata hai k aap k iss sawal se hi aap ko naikiyan milna shuru ho chuki hain.... or Agr kisi k dimagh mein ye baat aa gaye hai k gunah ki muafi mangi hai tu ye baat samjh lein k ap ne apni maghraft k liye koshish shuru kr di hai. Agr ak nafs ye sochey hi na tu muafi ka process start nai ho sakta. Muafi aap ko mile gi zaroor chahey aap se woh gunah dobara hi sarzad kyn na ho jaye lekn Muafi k sath ajar bhi aap ko mil sakta hai agr aap ye soch kr muafi mangein k ye gunah dobara nai krun ga ... InshaAllah k lafz k sath or phr uss pr kaym ho jayein. Otherwise aap gunah krte chale jayein ge or muafi aap ko phr bhi mangi hi parhey gi us k liye... Gudrat ka kanoon hai k muafi mangne se milti hai lekn uss k sath sath muafi aap ko kisi gunah ko mitaney se bhi mil sakti hai... Allah mian insaan ko pak saaf kr k janat mein bheje ga... or uss k liye zaroori hai ak insaan pak ho, gunahoon k bojh se. Achey kaam hi sirf aap ka right side heavy kr sakti hain. Astaghfirullah ka wird krein or ibadat se Allah mian ko khush krein. Jese aap gunah ka amal kr k apne nafs ko khush krte hain wese hi muafi mangne, namaz mein dua krne or gunah se tauba k amal se aap Allah mian ko razi krte hain or apni soul ko khush krte hain. Allah hm sb ko gunah krne se duur rakhein or hamesha Allah ka shukr adaa krne ki taufeeq de, Amen.
Answered by: Tahir Ramzan | 10 years ago